10 useful chrome extensions in hindi - Doston is technology ke yug mein zindgi bahut aasaan ho chuke hai. Naye Naye technology ke saath saath naye naye software, app, chrome extension, launch hote rahte hai.
Aise naye technology ka faayada utha ke hum apna kaam aur bhi asaan kar lete hai aur jaldi se kaam bhe poora ho jaata hai, is se hamara kaafi kemati samay bhi bach jaata hai.
Isliye doston mein is blog ke madhyam se apko 10 useful chrome extension ke baare mein bataunga jis se apaka kaam aur tezi se ho jaya karega aur google chrome par kaam karne ka experience bhi bahut acha ho jayega.
Agar aap student ho ya fir office mein kaam karte hai to ye 10 chrome extension se aapako bahut madat milege jis se kaam tezee se ho jaya karega.
Isliye apse bintee hai yah article ko poora padhe tabhi apko ye chrome extension ke baare mein pata chal paayega.
Chrome Extension Kya Hota Hai?
Agar apko nahi pata Chrome extension kya hota hai to main apko bata du ki ye ek tarah ke application hota hai jo ki chrome browser me install hota hai.
Inhi apps ko extensions kehte hai jo apke daily life me bahut hi useful chrome extension ban skte hai.
Chrome Browser Me Extension Install Kaise Kare?
Koi bhi extension ko install karne ke liye sabse phle is website par visit kare ya fir google me search kare " Google Chrome Extenstion" aur phli website par visit kare.
Ab apko search box me search karna hai jo bhi extension ko install karna chahte hai.
"Add to Chrome" karne se extension apke browser me install ho jayega aur fir usko stemal kar skte hai.
10 Zabardast Useful Chrome Extension 2024
Ye jo me zabardast chrome extension batane jaa rha hu vo apke daily life ko aur bhi zayada asaan bana degi kyuki ye aise extension hai jo apka bahut time bachayege aur kaam ko aasani se karwa dege.
Grammarly aapke browser ke liye ek accha extension hai jo aapke vyakaran (grammer), ko theek karne me madat karta hai.
Jaise agar aap koi bhi article ya fir koi bhi project bana rhe usme jo bhi grammatical mistake honge usko theek krne ke liye suggestion deta hai.
Agar iski website par visit kroge to aur bhi cheeze kar skte hai jaise plagiarism chech karna. Yah aapake real time me auto correction karega koi bhi galat spelling ko theek karega.
Grammarly ke kuch Advantages-
- Real Time me Grammer Check karta hai
- Jyada Accurate hai
- Asaan hai Samjhna
- Asani se istemal kar skte hai
Grammarly ke kuch Disavantages-
- Free hai par kuch limitation ke sath
- Bahut jyada ads show hote hai
Doston kabhi na kabhi aapko screenshot capture karne ki zaroorat pdti hogi. Isaliye yah chrome extensions aapke bahut kaam aa sakta hai.
Yah bas ek click se poore web page ko jpg yaani (image) mein convert kar deta hai aur phir use aap download bhi aasani se kar sakte hai.
Extension ko kise vishesh permission ki zarurat nahi hai - bas ise install karen, phir apane broswer mein icon par click karen ya phir full page Screen Capture ke liye Alt+Shift+P tap kare.
Tap karne ke baad aapako page capture karne ke lie, jitana page ko capture karna hai utana scroll karo, aur uske baad download karlo.
Yah chrome extension unlogo ke liye bahut useful hai jo log offline padna pasnd karte hai.
Is extension mein sabse achi cheez hai ki screenshot ko koi bhi format me export kar skte hai jaise pdf, jpg, jpeg etc.
3. INSSIST (Instagram Assistant)
Apne Computer mein instagram istemaal karna chahte hai to yah chrome extension aapake bahut kaam aa sakta hai. Inssist ek aisa extension hai jo instagram website ko mobile ke view mein badal deta hai maanalo jaise ki aap ise apane mobile app mein istemaal kar rahe ho.
Is extension, me instagram story, video, IG Tv, reels, DM bhejne jaise kai activity kar skte hai.
INSSIST ke Free Feactures-
- Video, Photo, Reels Post kar skte hai.
- Hashtags ko search kar skte hai.
- Dark Mode
- Multi Account khol skte hai.
INSSIST ke Paid Feactures-
- Video Photo ko Schedule Post kar skte hai.
- Reel Post aur Cover ko choose kar skte hai.
Google chrome ka yah extension aapke bahut kaam ayega kyon ki kabhi kabhi aisa hota hai ki aap kuch kaam karte hai.
Aur usi samay youtube video dekhna chahte ho aur aap baar baar us tab par nahi jana chahte to yah useful chrome extension apki yah problme ko solve kar dega.
Yah apke video ko PIP (Picture-in-Picture) ke mode me kar dega aur side me video chalti rahegi.
Waise agar aap chrome 70 istemaal karte hai to isme apko pip ka update mil jayega. Jise aap right-click karke excess kar sakte hain.
Iske lie aapko koi bhi extension install karne ki zaroorat nahi bina install kiye option mil jaayega.
Dosto aisa bahut baar hota hamare saath ki railway ki ticket confirm nahi milti tab aapke paas ek hi option dikhai deta hai ki tatkal ticket nikali jaaye.
Tatkal ticket milna bhi itna mushkil hai jitna pahad par chadhna kyon ki sheet sirf 100,150 hoti aur nikalne waale hazaaro.
Isliye sabko tatkal ticket nahi mil pati, bahut baar hota ki jab tak hum detail bharte hai tab tak saari ticket book ho jaati hai.
Yah chrome extension apake bahut kaam aaega kyon ki yah aapake ticket kuch seconds me book kar dega.
Bas aapko sirf payment karni hogi baaki ka kaam yah extension karega.
Ticket Book karne se phle apni sari detail aur kitni ticket book krni hai uski saari detail bhar de aur jab tatkal reservation khulega usi samay isko "Autofill Detail" par click kar dena hai.
Sari detail apne aap fill ho jayegi apko manually fill krni ki zarurat nhi hogi.
Apko bhi passwords bhul jaane ki bimari hai to ab iski samsya me solve kar deta hu. Ye extension aapake bahut kaam ayega.
Lastpass, ek award winner extension hai jo bahut logo ki password bhul jane ki problem solve kar deta hai.
Ye ek tarah ka password manager hai jo apke saare websites ke passwords ko manage karta hai.
Dark mode me koi bhi website ko excess karna chahte ho to ye extension apki madat karega.
Yah extension har website ko dark mode chalu kar deta jis se aap apni ankhon ka bhi khyaal rakh sakate hai, raat aur din browsing ke liye dark theam ka upyog kare.
Isme apni man marji se brightness ko custmize kar skte hai aur kum jyda kar skte hai.
Yah extension bahut hi useful chrome extension hai jo ki apke sath sath baccho ke liye bhi bahut safe browsing ka experience deta hai.
Adult Content ko yah extention turant block kar deta hai. Aur koi bhi specific website ko bhi block skte hai, jis se koi bhi use excess nhi kar skta hai.
Yah apke passwords ki protection bhi karta hai, koi bhi isko hack nhi kar skta.
Google translate logo ka bahut pasandida translate app hai aur iska chrome extension bhi hai jo aap apne browser me install kar skte hai.
Yah extension unke liye bahut acha hai jinko hindi ka english ya aur bhi koi language nhi aati.
Google Translate website page ko kuch seconds me english to hindi ya fir english to other language me convert kar deta hai.
Apko naam se hi pata chal gya hoga is extension ka use kya hai. Ji ha dosto Just Read Extension apko bahut hi acha experience karwata hai koi bhi website ke articles ko read karne me.
Naa koi ads na koi jhanjant bas ek book ke jaise article ko read kar skte hai.
Conclusion-
Dosto asha karta hoon aapko yah jankari pasnd aayi hogi aur ye 10 useful chrome extensions aapki madat karne mein kaam aaenge.
Zaroor share karke apne doston mein taaki unhen bhi ye extension ke baare mein pata chale.